Aaj Muslman Azan Dene Se katrate Hai Jabki Azan Dene Ki Badi Fazilat Hai.

HADEES E RASOOL SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM NE IRSHAD FARMAYA

Hazrat Abu Sayed Khudari Razi. Se Riwayat Hai

Allah Ke Rasool SAW. Ne Irshad Farmaya
Muajjin ki awaz ko jinnat, insan aur jo jo chije sunti hai wo roze kayamat uske liye gawahi degi.
Hadees (Sahih Bukhari : 609)


Allah Ke Rasool SAW. Ne Irshad Farmaya
Muajjin ke liye sawab hai us shakhs ke sawab ke barabar jisne uski awaz sunkar namaz padhi.
Hadees (Sunan Nasai : 2/13)

KHULASA KALAM YE HAI KE MUAJJIN KI AWAZ SUNKAR JITNE LOG MASJID ME AKAR NAMAZ PADHEGE, UN SABKO APNI-APNI NAMAZ KA SAWAB PURA SAWAB TO MILEGA HI MAGAR MUAJJIN TAMAM NAMAZIYO KE SAWAB KE BARABAR AUR JYADA SAWAB MILEGA.
KYUNKI USNE UNKO NAMAZ KI TARAF BULAYA THA.


ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA KARE AMIN
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post