ALLAH KE HUKM KE BAGAIR KOI NAHI MAR SAKTA

Allah Farmata Hai Apni Aakhari Kitab Quran Men.

Bagair Allah Ta'ala ke hukm ke koi jandar nahi mar sakta uska waqte mukrar likha hua hai,
duniya ki chahat walon ko ham kuch duniya de dete hai aur akhirat ka sawab chahane walo ko ham wo bhi denge,
aur ahsaan manne walo ko ham bahut jald nek badla denge.
Quran (Sura Imran3/145)

Yani ye kamzori aur bujhdili ka mazahir karne walo ke hosle men izafa karne ke liye kaha ja raha hai ke mout to apne waqt par akar rahegi phir bhagne ya bujdili dikhane ka kya fayda,
is tarah duniya talab karne se kuch duniya to mil jati hai lekin akhirat men kuch nahi milega,
iske baraks akhirat ke talibo ko akhirat men neamate to milegi hi duniya bhi Allah Ta'ala ata farmayega.


Aaj Kafir ham par kitna hi julm kare musibat aur taklif ho sakti hai lekin ham bujdili na dekhaye,
kyuki mout bagair Allah ki marzi ke nahi de sakte Takdir par pakka yakin rakho har muslman apni-apni takat ke hisab se unke julm ka mukabla kare,
har muslman tanha apne pas mojud jaraye se jawab de agar ek ho jaye to sone pe suhaga,
Inshaa Allah ek din har muslman ek hoga

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AMIN
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post