ALLAH TA'ALA HI KE LIYE TAWAAF AUR ITIKAF.

ALLAH TA'ALA QURAN MEN FARMATA HAI.
Logo chahiye ke Allah ke kadim ghar (Yani Betullah) ka tawaaf kare.
Quran (Sura Haj 22/29)

Hamen ibrahim ismail se wada liya ke tum mere ghar ko tawaf karne walo aur itiksf karne walo aur ruku sazda karne walo ke liye pak saf rakho.
Quran (Sura Baqra 2/120)

Hajrat Abu Hurreera Razi Allahu Anhu Se Rivayat hai.
ALLAH KE RASOOL SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM NE IRSHAD FARMAYA.
Kayamat us waqt tak kayam nahi hogi jab tak kabila dos ki aurato ki pithe jialkhlsa ke gird tawaaf na karne lage (Yani kayamat ke karib ye shirk dubara runuma ho jayega) jialkhlsa dos kabile ka but tha jis ki arab log jahiliyat men pooja kiya karte the.
Hadees (Sahih Bukhari : 7116)

TAWAF YE KE SAWAB KI NIYAT SE KISI MAKHSUS JAGAH PAR KHAS DIN JAKAR USKE GIRD CHKKAR LAGAYE JAYE.
ITIKAF YE KE SAWAB KI NIYAT SE KISI KHAS JAGAH PAR KHAS MUDAT KE LIYE JAYA JAYE YA BAITHA JAYE.
YE DONO KAAM IBADAT HAI ISLIYE SIRF ALLAH KE LIYE HI KIYE JA SAKTE HAI CHUKI TAWAF HAJ AUR UMRAH ME SHAMIL HAI ISLIYE YE SIRF BETULLAH KE GIRD HI KIYA JA SAKTA HAI IS KE ALAWA KISI BHI JAGAH KA TAWAF GAIRULLAH KI IBADAT MEN SHAMIL HOGA.
ITIKAF SIRF HARAM AUR MASJID MEN KIYA JAYEGA ISKE ALAWA KISI KHAS JAGAH KHAS DIN YA DINO KI TADAT ME JAKAR BAITHNA GAIRULLAH (Yani Allah ke Alawa Dusre kisi) KI IBADAT ME SHAMIL HOGA.
ISLIYE DONO HI IBADAT KHAS SIRF KHALIS ALLAH HI KE LIYE KI JAYE


ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AMIN...
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post