ALLAH TA'ALA KA KHOUF (DAR) HAR KHOUF PAR GALIB HONA CHAHIYE.

ALLAH TA'ALA QURAN MEN FARMATA HAI
Tum logo se na daro sirf mujh se hi daro.
Quran (Sura Maida 5/44)

Kya tum un se darte ho halanki Allah Ta'ala jyada haq rakhta hai ki tum usse daro agar tum imaan wale ho.
Quran (Sura Touba 9/13)

Yakinan jo log apne rab se darte hai aur jo apne rab ki ayato par imaan rakhte hai aur wo apne rab ke sath kisi ko sharik nahi karte hai.
Quran (Sura Mominun 23/57-58-59)

Allah Ke Rasool sallallahu alayhi wasallam Ne Irshad Farmaya
Haram sharif men jane walo ko dekhkar Allah farishto se farmata hai ye meri rahmat ke ummidvar hai aur mere azaab se khouf men hai halanki inhone mujhe dekha tak nahi.
Hadees (Sahih Targib :1112)

MALUM HUA KE SAB SE JYADA AGAR KOI IS BAAT KA MUSHTHAQ HAI KE US SE KHOUF (DAR) KIYA JAYE TO WO ALLAH HI HAI. AGAR KOI ALLAH SE BEKHOUF HAI. ALLAH FARMATA HAI.
Allah ki pakad se sirf nuksan pane wali koum hi bekhouf hoti hai.
Quran (Sura Aaraf 7/99)

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post