ALLAH TA'ALA KI MUHBBAT TAMAM MUHBBATON PAR GALIB HONI CHAHIYE

ALLAH TA'ALA QURAN MEN FARMATA HAI
Baz log aise bhi hai jo ke dusron ko Allah ka sharik banakar unse aisi muhbbat rakhte hai jaisi Allah se se honi chahiye, Aur imaan wale Allah ki muhbbat men bahut sakht hote hai.
Quran (Sura Baqra 2/165)

Aur jab sirf Allah ka jikr kiya jata hai to jo log akhirat par yakin nahi rakhte un ke dil sukad jate hai (jikr karne walo se nafrat karne lagte hai) aur jab dusron ka jikr kiya jata hai to khush ho jate hai
Quran (Sura Jhumar 39/45)

Allah Ke Rasool sallallahu alayhi wasallam NE Irshad Farmaya
Jis shakhs men 3 khaslate hogi wo imaan ki mithas mahsus karega
1. Allah aur Rasool use baki logo se jyada mahboob ho.
2. Wo kisi bhi insan se sirf Allah hi ke liye muhbbat karta ho.
3. Use kufr (Jisse Allah ne use bacha liya) ki taraf lotna aisa lage jaise aag men feka jana.

Hadees (Sahih Bukhari : 16 / Muslim : 43)

YE BIMARI SIRF MUSHRIKIN MEN NAHI THI AAJ BHI MOJUD HAI JO KHUD SAKHTA LOGO KO APNA KIBLA BANA LETE HAI,
UNHE SAB KUCH SAMJHTE HAI AUR UNSE ALLAH SE BHI JYADA MUHBBAT RAKHTE HAI AUR JAB INHE ALLAH KI AUR QURAN KI BAAT SUNAi JATI HAI TO NARAZ HO JATE HAI.


ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post