ALLAH TA'ALA PAR HI KAMIL TAWAKKAL WA BHAROSA KARNA CHAHIYE

ALLAH TA'ALA QURAN MEN FARMATA HAI
Agar ALLAH TA'ALA tumhari madad kare to tum par koi galib nahi aa sakta aur agar ALLAH TA'ALA tumhe chod de to us ke baad koun hai jo tumhari madad kare, Lihaza imaan walo ko ALLAH TA'ALA par hi bharosa karna chahiye.
Quran (Sura 3/140)

Aur tum ALLAH TA'ALA hi par bharosa karo agar tum imaan wale ho.
Quran (Sura Maida 5/23)

Allah Ke Rasool sallallahu alayhi wasallam NE Irshad Farmaya
Agar tum ALLAH TA'ALA par is tarah tawakKal wa bharosa karo jaisa bharosa karne ka haq hai to wo tumhe aisa rizk (Rozi) dega jaise parindo (Bird) ko rizk deta hai parinde subha khali pet niklate hai aur sham ko pet bharkar wapas aate hai.
Hadees (Tirmizi : 2344)

LEKIN AAJ MUSLMAN ALLAH KO CHOD KAR DUSRO PAR AISA BHAROSA KARTE HAI JAISA ALLAH PAR KARNA CHAHIYE HALAKI WO JANTE HAI UN LOGO KO BHI ALLAH HI NE PAIDA KIYA AUR WAFAT DI,
JABKI IMAAN WALO KO SIRF ALLAH HI PAR BHAROSA KARNA HAI ISLIYE ALLAH NE QURAN MEN KAHA (SURA JHUMAR 39/36) KYA ALLAH HI APNE BANDE KE LIYE KAFI NAHI ?


ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AMIN..
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post