FARYAD ( SIRF ALLAH HI SE MANGI JAYE )

YE HAR MUSLMAN KA IMAN HAI ALLAH TA'ALA HI HAMARE DIL KI BAATO KO JANTA HAI.
WAHI CHITI SE LEKAR HATHI AUR PARINDO SE LEKAR MACHLIYO KI SUNTA HAI AUR UNHE BHI RIZK (PET BHAR KHANA) DETA HAI.


ALLAH QURAN MEN FARMATA HAI.
Jab tum apne rab se faryad kar rahe the to us ne tumhari faryad sun li.
Quran (Anfal 8/9)

Bekas ki pukar ko jab wo pukare kon kabul kar ke sakhti ko dur kar deta hai ?
Kya Allah Ta'ala ke sath aur mabUd hai ?
Tum bahut kam nasihat wa ibrat hasil karte ho.

Quran (Namal 27/62)

ALLAH KE RASOOL sallallahu alayhi wasallam NE IRSHAD FARMAYA. 
A Jinda wa Jawed ! A Kayam rahne wale teri rehmat ke jariye men faryad karta hun ke mere kaam durust farma de aur palak chapkane ke barabar bhi meri nafs ke suprud na karna.
Hadees (Sahih Aljame : 5820)

ALLAH KA SIFATI NAAM " AS SAMI'A " (FARYAD SUNNE WALA) ALLAH HI HAI JO HAR JANDAR KI FARYAD KO SUNKAR PURA KARTA HAI.
HAM NAMAZ ME BHI RUKU SE UTHTE WAQT KAHTE HAI " Sami' Allah liman hamida " (ALLAH NE USKI SUNLI JISNE USKI TARIF KI) " Rab bana lakal hamd " (A HAMARE RAB TERE HI WASTE SARI TARIF HAI) JAB BHI FARYAD MANGI JAYE SIRF ALLAH HI SE MANGI JAYE WAHI SUNNE AUR JANNE WALA HAI.


ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post