IBADAT KA MAFHUM (MATLAB) KYA HAI.

QURAN MEN ALLAH FARMATA HAI

Allah, Ibadat
IIECINDIA


Maine Jinnat Aur Insano Ko Sirf Is Liye Paida Kiya Hai Ke Wo Sirf Meri Ibadat Kare.
Quran (Sura Jariyat 51/56)

Ibadat aisa jaame lafz hai jo un tamam jahiri(Dikhne wale) aur batini (Dili) akwal wa aamal par bola jata hai
jinhe Allah ta'ala pasand karta hai aur jin se razi hota hai
jaise NAMAZ, ZAKAT, ROZA, HAJJ, SACH BAAT KAHNA, AMAaNAT DARI KARNA, WALDEN SE HUSNE SALUK (ACHCHAI), RISTE JODNA, LOGO KO NEKI KI TARAF BULANA AUR BURAI SE ROKNA
DUA WA JIKR, TILAWATE QURAN AUR IS JAISI DIGAR IBADAT KARNA,

Jindagi ka har kaam jo din ke mutabik ho ibadat ka mafhum men shamil hai
yani ibadat sirf namaz, roza, hajj wagerah ka hi naam nahi hai balke CHALNA FIRNA, UTHNA BAITHNA, SONA JAGNA, KHANA PINA, MILNA JULNA, BOLNA CHALNA, KHARIDNA BAICHNA
algarj jindgi ka koi bhi kaam agar Allah ke huqm ke mutabik kiya jaye to wo ibadat hi hai.
kyunki isi ko Allah pasand karta hai aur razi hota hai aur insan ki jindgi ka maksad bhi yahi hai.
Aur har buri baat jhuth, jhuthi shan shokat, haram mal dolat, dikhawa, nafsi burai se bachna bhi ibadat aur sawab ka kaam hai.


WARNA MAHAJ MUSLIM MULK MEN PAIDAISH, ISLAMI NAAM AUR JABAN SE KALMA PADH LENA KAMYABI AUR JANNAT KI JAMANAT NAHI HAI.

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post