Jamaat Se Namaz Na Padhne Walo Ke Gharo Ko Aag

Hazrat Abu Hurrera Razi. Se Riwayat Hai

ALLAH KE RASOOL SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM NE IRSHAD FARMAYA.
Kaptiyo par fajr aur ishaa ki namaz se jyada bhari koi namaz nahi hoti agar unhe pata chal jaye ki dono namazo ka sawab kitna jyada hai to un dono namaz men jarur aate chahe ghutno ke bal hi aana padhta.
mene irada kiya ki muajjin ko hukm du ki wo ikamat kahe phir ek aadmi ko huqm du ki wo imamat karaye aur men khud aag ka ek shola lekar un logo ke ghar ko jala du jo us azaan aur ikamat ke bad namaz ke liye ghar se nahi niklate.

Hadees (Sahih Bukhari : 383)

ALLAH KE RASOOL SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM NE IRSHAD FARMAYA.
Kayamat ke din Allah ke haqo me se sabse pahle namaz ka hisab hoga.
Hadees (Sahih Sunan Tirmizi : 337)

KHULASA KALAM YE HAI KE ALLAH KE RASOOL SAW. NE UN LOGO KE GHARO KO AAG LAGANE KO KAHA JO JAMAT SE NAMAZ NAHI PADHTE HAI.

ALLAHO ALAM UNKA MAMLA KAYA JO LOG NAMAZ HI NAHI PADHTE.


ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AMIN
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post