NABI KARIM SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KE MOZIZAT (CHAMTKAR)

Hazrat Jabir bin samura Razi Allahu Anhu Se Rivayat hai.
NABI KARIM SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM ne farmaya.

Men makka ke us patthar ko janta hun jo mujhe nabuwat se pahle salam kiya karta tha men ab bhi use pahchanta hu.
Hazrat Abu Musa Razi Allahu Anhu Se Rivayat hai.
Jab aap bachpan hi men sham ke safar par apne chacha ke sath gaye the aap ka kafila bashra nami jagah par ruka to ek rahib ne bataya ke sare ped (Tree) aur patthar apke ahtram men jhuk gaye.
rahib jab khana le kar aaya aap ko bulaya to ek badal aap ke upar saya kiye tha jab aap khana khane ek ped ke niche baithe to ped ka saya aap ke liye jhuk gaya rahib ne logo se kaha dekho saya is bachche ke liye jhuk gaya.
rahib ne aap ka hath pakad liya aur kaha ye sayydul lil alamin hai, ye Rabbul alamin ke rasool hai,
Allah Ta'ala inhe Rahmtul lil alamin banakar bhejega.

(Tirmizi : 3/2862)

Halanki apko us waqt nabuwat ka ilm nahi tha lekin Allah ke yaha apki nabuwat us samay te ho chuki thi jab aadam alehisalam pani aur mitti ke marhale men the ruh phunki ja chuki thi lekin badan men harkat nahi thi
aap ka khatimun nabiyyin hona bhi tab hi te ho chuka tha.

(Mishkatul Msabih : 5759)

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AMIN....
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post