KYA HAMEN APNE APKO SIRF MUSLMAN KAHNA CHAHIYE.

KYA HAMEN APNE APKO SIRF MUSLMAN KAHNA CHAHIYE.


"A Iman walo allah se daro jesa ki usse darne ka haq hai, Aur marte dam tak MUSLMAN hi rahna."
Quran (Surah ale imran 3/102)

Aaj muslman firko aur jamaton me bat gaye aur apni-apni jamaton ke naamo se pahchane jate hai, jabki hamen apne aap ko (MUSLMAN) kahna Chahiye Quran me Allaah ne kaha apne aap ko (MUSLMAN) kaho,
Hum apas ke iktilaaf ko khatm kare jaisa ki Allah ne kaha

.
"Aao us bat ki taraf jo hammen tummen eksa hai, ham Allah ke siwa kisi ki Ibadat na kare Uske sath kisi ko sharik na kare pas agar wo munh pher le to kahdo ke tum gawah raho ham to (MUSLMAN) hai"
Quran (Surah Imran 3/64)

Aur Achchi bat batane wala bure kamon se rokane wala wo koun hai jaisa ki Allah ne kaha apni kitab me.

"Aur Usse jyada achchi bat wala koun hai jo Allah ki taraf bulaye aur nek kam kare aur kahe ke men yakinan (MUSLMANO) men se hun"
Quran (Surah Fusilat 41/33)

Isliye hamen apne apko (MUSLMAN) kahna chahiye (MUSLAMN) ka mana he (FARMABARDAR) kiska Allah aur uske RASOOL SAW. ka,
hamen wo baat manni chahiye jo Allah ne quran me Huqm diya aur hamare pyare nabi saw. ne hadees me irshad farmayq tab hi hum kamyab (MUSLMAN) ban sakte hai.

Allah se hum DUA kare jaisa ki ALLAH ne hamen sikhaya.

وقُلْ ربِّ زِدْنِي عِلْماً  A Allah mere ilm men ijafa ata farma

Quran (Surah ta.ha.20/114)

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AAMIN......
Plz 4wrd To All Contacts And Grups. Insha Allah
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post