Meri baatchit kaisi honi chahiye ?

Meri baatchit kaisi honi chahiye ?

“Mere bando se keh do ki baat wahi kahein jo achchi ho. Shaitan to unke beech uksakar (fuslakar) fasaad daalta rehta hai. Beshaq shaitan to insaan ka khula dushman hai.”
(Quran : Sura Isra 17/53)

“Tabahi hai uske liye jo logo  ke aib nikaale aur peeth peeche burai karey.”
(Quran : Sura Humaz 104/1)

Aur apni aawaz kuch past/dheemi kar, beshaq sab aawazo me buri aawaz gadhe ki hai.”
(Quran : Sura Lukman 31/19)

“A Imaan lane walo ! Allah ka dar rakho aur seedhi baat kaho, Allah tumhare aamal tumhare liye sanwaar dega (Decorate) aur tumhare gunah bakhsh dega.”
(Quran : Sura Ahzab 33/70-71)

“Rehman ke wo bandey jo zameen par aahista chaltey hain aur jab jaahil unse baat karte hain to kehte hain bas salaam!”
(Quran : Sura Furkan 25/63)





ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AAMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post