Wo kaun se kaam hain jinko karne se mujhe Jannat mil sakti hai ?


Wo kaun se kaam hain jinko karne se mujhe Jannat mil sakti hai ?


“Aur apne Rab ki tauba aur us jannat ki aur badho. Jiska failav aasmaano aur zameeno jaisa hai.
wo un logo k liye taiyaar hai jo darr rakhte hain. Wo log jo khushhali aur tangi ke har haal me kharch karte hain aur gusse ko rokte hain aur logo ko maaf karte hain.,
aur ALLAH ko aise log azeez hain. Jo achche se achha kaam karte hain.
Aur jinka haal ye hai ki jab wo koi khula gunah kar baithte hain ya apne aap par zulm karte hain to fauran ALLAH unhein yaad aa jata hai aur wo apne gunaho ki maafi chahne lagte hain
aur ALLAH ke alawa kaun hai, jo Gunaho ko bakhsh de ?
Aur jaante bujhte wo apne kiye par adey nahi rehte. Unka badla unke Rabb ki aur se bakhshis hai aur aise baag (Garden) hain jinke neeche nehre (Canals) behti hongi.
Unme wo hamesha rahenge. Aur kya hi achcha badla hai achche aamal karne walo ka.”

Quran ( Imran 3/133-136)

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AAMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post