RAMZAN KE BAAD SHAWWAL KE 6 ROZE PURE SAAL KA SAWAB.

रमज़ान के बाद शव्वाल के 6 रोज़े और पूरे साल का सवाब.


FARMANE NABVI HAI.

Jo shakhs ramzan ke roze rakhe phir us ke baad 6 roze shawwal ke rakhe to ye amal pure saal (roze rakhne) ki tarah hai.
HADEES (Sahi'h Muslim : 1164)

Pure saal rozo ki tarah isliye kaha gaya hai ke ek neki ka badla 10 guna hota hai lihaja ramzan ke roze 10 maah ke barabar huye aur shawwal ke 2 maah ke barabar huye isliye pure saal roze ka sawab. 

फरमाने नब्वी है.
जो शख्स रमज़ान के रोज़े रखे फिर उस के बाद 6 रोज़े शव्वाल के रखे तो ये अमल पूरे साल (रोज़े रखने) की तरह है.
हदीस (सही'ह मुस्लिम : 1164)

पूरे साल रोज़ो की तरह इसलिए कहा गया है के एक नेकी का बदला 10 गुना होता है लिहाजा रमज़ान के रोज़े 10 माह के बराबर हुए और शव्वाल के 2 माह के बराबर हुए इसलिए पूरे साल रोज़े का सवाब. 

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI AUR SAHI AMAL KARNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AAMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post