ROZEDAAR KE MUNH KI BOO KASTURI SE JYADA PAKIZA HAI.

रोज़ेदार के मुँह की बू कस्तूरी से ज़्यादा पाकीज़ा है.


FARMANE NABVI HAI.

ALLAH TA'ALA farmate hai ke insaan ka har nek amal khud usi ke liye hai magar roza khaas mere liye hai aur men hi uska badala dunga, aur roza gunaaho ki dhal hai agar koi roze se ho to fahashgoi nahi karni chahiye aur na hi shor machana chahiye, agar koi shakhs ise gali de ya ladna chahe to uska jawaab sirf ye ho ke men ek rozedaar aadami hu' us jaat ki kasam jis ke haath men MUHMMAD ki jaan hai! rozedaar ke munh ki boo ALLAH TA'ALA ke nazdik mushk ki khushbu se bhi jyada pakizaa hai, rozedaar ko do khushiya hasil hogi (Ek to jab) wo iftaar karta hai to khush hota hai aur (Dusra) jab wo apne rab se mulakaat karega to apne roze ka sawab hasil karke khush hoga.
HADEES (Sahi'h Bukhari : 1904)

फरमाने नब्वी है.

अल्लाह त'आला फरमाते है के इंसान का हर नेक अमल खुद उसी के लिए है मगर रोज़ा ख़ास मेरे लिए है और में ही उसका बदला दूँगा, और रोज़ा गुनाहो की ढाल है अगर कोई रोज़े से हो तो फ़हाषगोई नही करनी चाहिए और ना ही शोर मचाना चाहिए, अगर कोई शख्स इसे गली दे या लड़ना चाहे तो उसका जवाब सिर्फ़ ये हो के में एक रोज़ेदार आदमी हू' उस जात की कसम जिस के हाथ में मुहम्मद की जान है! रोज़ेदार के मुँह की बू अल्लाह त'आला के नज़दीक मुश्क की खुश्बू से भी ज़्यादा पाकीज़ा है, रोज़ेदार को दो खुशिया हासिल होगी (एक तो जब) वो इफ्तार करता है तो खुश होता है और (दूसरा) जब वो अपने रब से मुलाकात करेगा तो अपने रोज़े का सवाब हासिल करके खुश होगा.
हदीस (सही'ह बुखारी : 1904)

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI AUR SAHI AMAL KARNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AAMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post