YE BHI SHIRK KARTE TO INKE BHI AAMAL BARBAAD HO JATE.

ये भी शिर्क करते तो इनके भी आमाल बर्बाद हो जाते.


IRSHADE BAARI TA'ALA HAI
Aur ye hamari dalil thi wo ham ne ibrahim alaihis salaam ko un ki qoum ke mukable men di thi ham jis ko chahate hain martabon men bada dete hain. Be-shak aap ka rab bada hikmat wala bada ilm wala hai.
Aur ham ne un ko ishak diya aur yaqoob har ek ko ham ne hidayaat ki aur pahle zamane men ham ne nooh ko hidayaat ki aur un ki aulad men se dawood ko aur suleman ko aur ayyub ko aur yusuf ko aur musa ko aur haroon ko aur isi tarah ham nek kaam karne walon ko jaza diya karte hain.
Aur niz zakriya ko aur yahya ko aur isa ko aur ilyaas ko sab nek logo men se the.
Aur niz ismail ko yasaa ko aur yunus ko aur loot ko aur har aik ko tamam jahaan walo par ham ne fazeelat di.
Aur niz in ke kuch baap dado ko aur kuch aulad ko aur kuch bhaiyo ko aur ham ne un ko maqbool banaya aur ham ne un ko raah-e-raast ki hidayaat ki.
ALLAH ki hidayat hi hai jis ke zariye apne bando men se jis ko chahe us ko hidayaat karta hai aur agar farzan ye hazraat bhi shirk karte to jo kuch ye aamal karte the wo sab barbaad ho jate.

QURAN (Surah Annaam 6/83-88)

ALLAH ne 18 Nabiyo ka naam le kar farmaya ke ye bhi shirk karte to inke amaal bhi barbaad ho jate.
Shirk ko ALLAH kabhi maaf nahi karega alawa iske chahe jis gunah ko maaf karde.
QURAN (Surah Nisa 4/48)

इरशादे बारी त'आला है
और ये हमारी दलील थी जो हम ने इब्राहिम अलैहि स्सलाम को उन की क़ौम के मुक़ाबले में दी थी हम जिस को चाहते हैं मर्तबों में बड़ा देते हैं. बे-शक आप का रब बड़ा हिकमत वाला बड़ा इल्म वाला है.
और हम ने उन को इशाक़ दिया और याक़ूब हर एक को हम ने हिदायत की और पहले ज़माने में हम ने नूह को हिदायत की और उन की औलाद में से दाऊद को और सुलेमान को और अय्यूब को और युसुफ को और मूसा को और हारून को और इसी तरह हम नेक काम करने वालों को जज़ा दिया करते हैं.
और (निज़) ज़करिया को और यहया को और ईसा को और इल्यास को सब नेक लोगो में से थे.
और निज़ इस्माईल को यसा को और यूनुस को और लूत को और हर एक को तमाम जहाँ वालो पर हम ने फजिलत दी.
और नीज़ इन के कुछ बाप दादो को और कुछ औलाद को और कुछ भाइयो को और हम ने उन को मक़बूल बनाया और हम ने उन को राह-ए-रास्त की हिदायत की.
अल्लाह की हिदायत ही है जिस के ज़रिए अपने बन्दो में से जिस को चाहे उस को हिदायत करता है और अगर फ़रज़ान ये हज़रात भी शिर्क करते तो जो कुछ ये आमाल करते थे वो सब बर्बाद हो जाते.

क़ुरान (सुराह अन्नाम 6/83-88)

अल्लाह ने 18 नबियो का नाम ले कर फरमाया के ये भी शर्क करते तो इनके आमाल भी बर्बाद हो जाते.

शिर्क को अल्लाह कभी माफ़ नही करेगा अलावा इसके चाहे जिस गुनाह को माफ़ करदे.
क़ुरान (सुराह निसा 4/48)

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI AUR SAHI AMAL KARNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AAMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post