ALLAH KE AULIYA PAR KOI KHOUF HOAGA NA GAM.


अल्लाह के औलिया पर कोई ख़ौफ़ होगा ना गम.

IRSHADE BAARI TA'ALA HAI.
Jaan Lo ! Beshak Auliya (Dost) ALLAH par koi khouf na hoga aur na wo gamgin honge. ye wo log hai jo imaan laye (Nek amal aur Parhejgari karate rahe, Burai se bachte rahe) aur ALLAH se darte rahe.QURAN (Surah Yunus 10/62-63)

Yani unpar bhi khouf aur gam na hoga jo ALLAH ke nek bando ke raste par chalte rahe nek amal (yani Touwhid, Namaz, Roza, Zakaat aur Haj) par paband rahe aur har burai (Shirk aur Bid'at)) se bachte rahe. unke liye dono jahan men khush khabri hai.

IRSHADE BAARI TA'ALA HAI.
Un ke liye duniya ki jindagi men khush khabri hai aur Aakhirat men bhi, ALLAH ki baato men tabdili nahi hoti, yahi bahut badi kamyaabi hai.

इरशादे बारी त'आला है.
जान लो ! बेशक औलिया (दोस्त) अल्लाह पर कोई ख़ौफ़ ना होगा और ना वो गमगीन होंगे. ये वो लोग है जो ईमान लाए (नेक अमल और परहेजगारी करते रहे, बुराई से बचते रहे) और अल्लाह से डरते रहे.
क़ुरान (सुराह यूनुस 10/62-63)

यानी उनपर भी ख़ौफ़ और गम ना होगा जो अल्लाह के नेक बन्दो के रास्ते पर चलते रहे नेक अमल (यानी तौहीद, नमाज़, रोज़ा, ज़कात और हज) पर पाबंद रहे और हर बुराई (शिर्क और बिद'अत) से बचते रहे. उनके लिए दोनो जहाँ में खुश खबरी है.
इरशादे बारी त'आला है.
उन के लिए दुनिया की जिंदगी में खुश खबरी है और आख़िरत में भी, अल्लाह की बातो में तब्दीली नही होती, यही बहुत बड़ी कामयाबी है.
ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI AUR SAHI AMAL KARNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AAMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post