MOUT AUR US KE BAAD KI HALAT PAR IMAAN.


मौत और उस के बाद की हालात पर ईमान.


Mout aur uske baad ke tamam gaibi halat jin ka jikr kitab aur sunnat men huaa hai un par kamil imaan hona chahiye.
FARMANE NABVI HAI.
Mout ke waqt insan ko intihai sakht halat se gujarna padta hai
HADEES (Bukhari : 6510)

Mout ke waqt farishte hazir ho jate hai momin aadami ki rooh ko lene ke liye roshan chehare wale farishte jannat ki khushboo aur jannat ka libaas le kar aate hai aur kafir (Na Farmaan) ki rooh ko lene ke liye kale chehare wale farishte intihai badbudar taat ka libaas le kar aate hai.
Momin aadami ki rooh ke liye har aasmaan ka darwaza khol diya jata hai aur phir ALLAH ke hukm se har aasmaan ke mozud farishte use zameen men us ki kabr tak chodne aate hai, jabki kafir (Na Farmaan) ki rooh ke liye kisi aasmman ka darwaza nahi khola jata aur use aasmaan se hi zameen ki taraf (kabr men) faink diya jata hai.
HADEES (Targhib wa tarhib : 5221)


मौत और उसके बाद के तमाम गैबी हालात जिन का ज़िक्र किताब और सुन्नत में हुआ है उन पर कामिल ईमान होना चाहिए.

फरमाने नब्वी है.
मौत के वक़्त इंसान को इंतिहाई सख़्त हालात से गुज़रना पड़ता है
हदीस (बुखारी : 6510)

मौत के वक़्त फरिश्ते हाज़िर हो जाते है मोमिन आदमी की रूह को लेने के लिए रोशन चेहरे वाले फरिश्ते जन्नत की खुश्बू और जन्नत का लिबास ले कर आते है और काफ़िर (ना फरमान) की रूह को लेने के लिए काले चेहरे वाले फरिश्ते इंतिहाई बदबूदार टाट का लिबास ले कर आते है.
मोमिन आदमी की रूह के लिए हर आसमान का दरवाज़ा खोल दिया जाता है और फिर अल्लाह के हुक्म से हर आसमान के मोज़ूद फरिश्ते उसे ज़मीन में उस की कब्र तक छोड़ने आते है, जबकि काफ़िर (ना फरमान) की रूह के लिए किसी आसमान का दरवाज़ा नही खोला जाता और उसे आसमान से ही ज़मीन की तरफ (कब्र में) फैंक दिया जाता है.
हदीस (तार्घिब व तरहिब : 5221)

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI AUR SAHI AMAL KARNE KI TOFFIK ATA FARMAYE. {AAMIN}
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post