ALLAH TA'ALA HI KE LIYE RUKU AUR SAZDA.

ALLAH TA'ALA QURAN MEN FARMATA HAI.
A Imaan walo! Ruku aur sazda karte raho aur apne rab ki ibadat men lage raho aur nek kaam karte raho taki tum kamyab ho jao.
Quran (Sura Haj 22/77)

Hajrat Kais Bin Said RaZi Allahu Anhu Se Rivayat hai.
ALLAH KE RASOOL SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM NE IRSHAD FARMAYA.
Men ek shahar aya to dekha ke log apne badshah ke age sazda karte hai mene socha ALLAH KE RASOOL SAW. un badshaho ke mukabale men sazde ke jyada hakdar hai,
men jab aap ki khidmat men hajir hua apni baat bayan ki aap ne mujhse sawal kiya mujhe ye batao tum meri qabr ke pas se gujro to kya use sazda karoge ?
mene jawab diya ke nahi us par aap ne farmaya phir mujhe bhi sazda na karo.

Hadees (Abu Dawood : 2130)

ALLAH KE RASOOL SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM NE IRSHAD FARMAYA.
Khabardar! Tumse pahle ke logo ne apne nabiyo aur nek logo ki kabro ko sazda gah bana liya tha.
Sun lo ! Tum kabro ko sazda gah na banana men tumhe isse mana karta hun.

Hadees (sahih Muslim : 523)

MALUM HUA KE ALLAH KE ALAWA KISI KE LIYE BHI SAZDA KARNA JAYIZ NAHI.
TAZIMI SAZDA BHI NAHI SHARYATE MUHMMDIYA MEN ISE BHI HARAM KARAR DIYA GAYA HAI.
TAZIM KI WAJH SE SAZDA KARE TO KABIRA (BADA) GUNAH HAI, AUR AGAR KISI KO IBADAT KI WAJAH SE KARE TO SHIRKE AKBAR (ALLAH KE SATH MILANA) HAI.

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AMIN...
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post