IBADAT KE 3 BUNYADI ARKAAN HAI

1. Allah Ta'ala ki kamil muhbbat jaisa ki Allah ne irshad Farmaya.

Aur imaan wale Allah se muhbbat men intihaye sakht hai.
Quran : (Sura Baqra 2/160)

2. Allah Ta'ala se kamil ummid jaisa ki Allah ne irshad Farmaya.
Aur ahle imaan us ki rahmat ki ummid rakhte hai.
Quran : (Sura Isra 17/08)

3. Allah Ta'ala ka kamil khouf (Dar) jaisa ki Allah ne irshad Farmaya.
Aur imaan wale us ke azab se khouf jada rahte hai.
Quran : (Sura Isra 17/08)

ALLAH TA'ALA NE IN TINO ARKAN KO PAHLI SURAH (SUREH FATIHA) MEN YU JAMA FARMAYA.

1. Sab tareef Allah Taalaa kay liye hai jo
tamam jahanon ka parvardigaar hai.

Pahli ayat men muhbbat ka jikr hai kyuki wo jahano ko palne wala aur jo bando par inaam wa ikram bhi karta hai aur bilashubah jo inaam (Rahmatt) kare us se muhbbat ki jati hai.

2. Bada meharban nihayat reham kerney wala hai.
Dusri ayat men ummid ka jikr hai kyuki jo bhi rahmat wa shafkat ke sath mutshf ho us se ummid ki jati hai.

3. Badlay kay din (yani kayamat) ka maalik hai.
Tisri ayat men khouf ka jikr hai kyuki jo roje kayamat jaja wa hisaab ka malik hai uske azab se dara jata hai.

Is liye Allah Ta'ala ne in tin baton ke bad irshad farmaya ke kaho.
4. Ham khas teri hi ibadat karte hai

MANA YE KE.

Men khas teri hi ibadat karta hun
MUHBBAT KI WAJAH SE.

Men khas teri hi ibadat karta hun
SIRF TUJSE UMMID KI WAJAH SE.

Men khas teri hi ibadat karta hun
TERE KHOUF (DAR) KI WAJAH SE.

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AMIN
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post