MADAD ( SIRF ALLAH HI SE TALAB KI JAYE )

HAR MUSLMAN YE MANTA HAI ALLAH KI MADAD KE BINA INSAN KOI BHI CHIJ NAHI PA SAKTA,
HAR MUSLMAN YE MANTA HAI ALLAH MARZI KE BINA KOI EK SANS BHI NAHI LE SAKTA,
TO JO BHI MUSHKIL AYE MADAD SIRF AUR SIRF ALLAH HI SE MANGI JAYE.

QURAN MEN ALLAH FARMATA HAI
Ham khas teri hi ibadat karte hai aur khas tujh se hi madad mangte hai.
Quran (Sura Fatiha 1/4)

Allah ke siwa na tumhara koi madadgar hai na koi sunne wala phir bhi kya tum hosh men na aaoge.
Quran (Sura Sazda 32/4)

ALLAH KE RASOOL sallallahu alayhi wasallam NE IRSHAD FARMAYA.

Hazrat ibne abbas razi. ko vasiyat farmaye ke jab tu sawal karna chahe to Allah Ta'ala se hi sawal kar aur jab tu madad mangna chahe to Allah Ta'ala se hi madad mang.
Hadees (Sahih Tirmizi : 2016)

ALLAH KE ALAWA HAMARI KOI MADAD NAHI KAR SAKTA
YE ALLAH KA SIFATI NAAM HAI (AL WALI) MADADGAR USKI SIFAT MEN KISI KO SHARIK KARNA SHIRK HAI AUR YE JAMIN AUR ASMAN SARI KAAYNAAT MEN SABSE BADA GUNAH HAI.
YE ALLAH KA SIFATI NAAM HAI (AZ ZAR) NUKSAN PAHUCHAANE WALA AUR WO KISI KO NUKSAN PAHUCHAANA CHAHE TO WO HAR CHIJ PAR KUDRAT RAKHTA HAI.


ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post