Mayyat Par 3 Din Se Jyada Shouk Manna Jayez Nahi

Hazrat Umme Habiba Razi. Se Rivayat Hai Allah Ke Rasool sallallahu alayhi wasallam ne Irshad Farmaya.
Allah Aur Akhirat Par Jo Imaan Rakhne Wala Hai Uske liye Kisi Ki bhi Mayyat Par 3 Din Se Jyada Shouk Karna jayez nahi.
Aur Auraton ko uske shouhar ki mayyat par 4 mahine 10 se jyada shouk manna jayez nahi.
Hadees (Mukhtsar Sahi Bukhari lil jubedi : 650)

Hazrat Abu Malik Ashari Razi. Se Rivayat Hai. Nabi Karim sallallahu alayhi wasallam ne Irshad Farmaya. Farmaya.
Meri ummat Ke log jamana jahiliyat ke 4 kaam nahi chodhege.
1. Apne nasab par takbbur karna.
2. Dusro ke nasab par tana jani karna.
3. Taron se barish talab karna.
4. Marne walo par matam mana kar rona.
Aur Farmaya Agar marne se pahle touba na ki to kayamat ke din unhe khada karke gandhak ka paizama aur khujli (kharish) ka kurta pahnaya jayega.
Hadees (Mukhtsar Sahih Muslim lil Albani : 463)

LEKIN AAJ AFSOS KI BAAT HAI MUSLMAN MAYYATON PAR 10, 20, 30, 40, WA MANATE HAI AUR BARSI BHI SALA SAL MANTE HAI JO KI AAP sallallahu alayhi wasallam KA TARIKA NAHI HAI. JO NABI KA TARIKA NAHI US PAR SAWAB BHI NAHI HAI.


ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE  AMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post