NAMAZ KA CHODNA KUFR KI ALAAMAT

Hazrat jabir Razi Allahu Anhu Se Rivayat hai.
NABI KARIM SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM ne farmaya.

Imaan aur kufr ke bich fark namaz ka chorh dena hai.
Hadees (Sahih Muslim 82)

Iska matlab ye hai ke islam aur kufr ke bich namaz diwar ki tarah mozood hai

(YANI EK MUSLMAN KA NAMAZ CHORH DENA KUFR TAK PAHUCHANE WALA AMAAL HAI)

Hazrat Abu Darda Razi Allahu Anhu Se Rivayat hai.
NABI KARIM SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM ne farmaya.

Jo insaan namaz chorh de to yakinan Allah ka usko mauf karne ka jimma khatam ho gaya.
Hadees (Ibne Maza  4034)

(KHULASA KALAM YE HAI KE AGAR HAM NAMAZ NAHI PADHE TO PHIR KIS BINA PAR ALLAH SE MAUFI KI UMMID RAKHE)

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE K TOFFIK DE AMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post