Mujh Par Koi Musibat Aaye To Mein Kya Karu ?

HAMARE SAWALAT AUR QURAN MAZID KE JAWABAT

1. SAWAL : Mujh par koi musibat aaye to mein kya karu

“Namaz ka ehtemam kar aur bhalaai ka hukm de aur burai se rok aur jo musibat bhi tujh par padey uspar sabr se kaam le.,
beshaq ye un kaamo me se hai jo himmat aur mazboot iraado ke kaam hain.”

(Quran : Sura Lukman 31/17)

2. SAWAL : Mujhe musibat me kya dua maangni chahiye ?

“Humarey Rabb ! agar hum bhoolein ya chook jaayein to humein na pakadna. Humarey Rabb ! aur hum par aisa bojh na daal jaisa toone. Humse pehle ke logo par daalaa tha. Humarey Rabb !
Aur humse wo bojh na uthwa jiski humko taakat nahi. Aur humko maaf kar aur humko apni panaah me rakh, aur hum par Reham kar. Tu hi humara maalik hai,
tu kaafiro par humko madad de.

(Quran : Sura Baqra 2/286)

3. SAWAL : Mein musibat me Khuda se kis cheez ke saath madad maangu ?

“Ay Imaan waalo ! sabr aur namaaz se madad chaho. Beshaq Allah sabr karne walo ke saath hai.
(Quran : Sura Baqra 2/153)

“Sabr aur namaz se madad chaho aur beshaq namaz zaroor bhari hai magar un par nahi jo Dil se meri (ALLAH ki) taraf jhukte hain.
(Quran : Sura Baqra 2:45)

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post