ALLAH AUR RASOOL SE MUHBBAT KA TAKAZA KYA HAI ?

ALLAH AUR RASOOL SE MUHBBAT KA TAKAZA KYA HAI ?

A Nabi kah dijiye agar tum ALLAH se muhbbat rakhte ho to meri tabedari (Itaat,Farmabardari,Huqm,Sunnat Par Amal) karo,
ALLAH khud tum se muhbbat karega tumhare gunah maaf kar dega wo bada maaf karne wala hai.

Quran (Sura Imran 3/31)

Muhbbat ka takaza to ye hai ke NABI ki sunnato (Tariko) par chala jaye (julus, jhande, gane bajane, shor-sharabe, baind-baaje) ye muhbbat ka takaza nahi,
Aap se Muhbbat ki alamat ye hai app ko jin kamo se muhbbat thi un kamo (Yani Tauhhed, Namaz, Roja, Jakat, Haj) ko kiya jaye tab apka haq ada hoga.

NABI KARIM SAW. KE HAQ
01. Aap par Imaan (Jaisa Haq Hai)lana.
02. Aap ki Itaat (Huqm Manna) Karna.
03. Aap se aur shariyat se muhbbat karna.
04. Aap ke din ki madad karna.
05. Aap ki din aur ijjat ki hifajat karna.
06. Aap par durud bhejna.
07. Aap ke dushman se dushmani aur dosto se dosti karna.
08. Aap ko jisse se muhbbat hai usse se muhbbat karna.
09. Aap ke sath insaaf karna dhoka na karna.
10. Aap ke huqm se aage na bada jay.


ALLAh ne farmaya.
A Logo jo imaan laye ho ALLAH aur uske RASOOL se aage na bado aur ALLAH se darte raho Yakinan ALLAH sunne wala janane wala hai.
Quran (Sura Huzurat 49/1)

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AAMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post