ALLAH TA'ALA NE AHLE IMAAN SE JANNATO KA WADA KAR RAKHA HAI.

अल्लाह तआला ने अहले ईमान से जन्नतो का वादा कर रखा है.


Irshade Bari Ta'ala Hai
Imaan wale mardo aur aurton se ALLAH ne un jannato ka wada farmaya hai jin ke niche nahre bah rahi hain, jahan wo hamesha hamesha rahne wale hain aur in saaf suthre pakiza mehllaat ka jo un hameshgi wali jannato mein hain, aur ALLAH ki raza mandi sab se badi chij hai yahi zabardast kamyabi hai.
Quran (Surah Tauba 9/72)

Farmane Nabvi hai
Jo ALLAH aur rasool par imaan laya, Namaz kayam ki aur Ramzaan ke roje rakhe, ALLAH par lazim hai ke use jannat men dakhil kare chahe usne ALLAH raah men jihad kiya ho ya is zamin men baitha raha ho jisme paida hua.Hadees (Sahih Bukhari : 2790)

इरशादे बारी त'आला है

ईमान वाले मर्दो और औरतों से अल्लाह ने उन जन्नतो का वादा फरमाया है जिन के नीचे नहरे बह रही हैं, जहां वो हमेशा हमेशा रहने वाले हैं और इन साफ सुथरे पाकीज़ा महललात का जो उन हमेशगी वाली जन्नतो में हैं, और अल्लाह की रज़ा मंदी सब से बड़ी चीज़ है यही ज़बरदस्त कामयाबी है.क़ुरान (सुराह तौबा 9/72)

फरमाने नब्वी है
जो अल्लाह और रसूल पर ईमान लाया, नमाज़ कायम की और रमज़ान के रोज रखे, अल्लाह पर लाज़िम है के उसे जन्नत में दाखिल करे चाहे उसने अल्लाह राह में जिहाद किया हो या इस ज़मीन में बैठा रहा हो जिसमे पैदा हुआ.हदीस (सहीह बुखारी : 2790)

ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI AUR SAHI AMAL KARNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AAMIN......
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post